25 Best Shayaris You Should Be Reading Right About Now

   

Sometimes life makes no sense, which is when one looks to the poets. Sure they seem to be a morose lot, but one can’t deny that they have quite the wisdom to offer. Which is why we bring you 25 best shayaris you should read… right about now.

   

1. Unke dekhe se jo aa jaati hai muh pe raunaq, woh samajhte hain ki bimar ka haal achchha hai. 

Also read: 16 Timeless Mirza Ghalib Shayaris On Love, Friendships And Life

2. Roz Taaron ko numaaish mein khalal padta hai, Chaand pagal hai akele mein nikal padta hai. 

3. Toofaan se bhi zyaada saahil se siharta hoon. 

4. Kaun kehta hai ki hum jhooth nahi bolte, ek baar khairiyat poochh ke dekhiye. 

5. Ye jo gehre sannate hain, waqt ne sabko hi baante hain. Thoda gham hai sabka qissa, thodi dhoop hai sabka hissa. 

Also read: 10 Beautiful Dialogues From Zindagi Na Milegi Dobara (ZNMD)

6. Bohat mushkil se karta hoon teri yaadon ka karobaar, munafa kam hai, par guzaara ho jaata hai.

7. Manzil se gumrah kar dete hain kuchh log, har kisise raasta poochhna achchha nahi hota.

8. Kitna jaanta hoga woh shaks mere baare mein, mere muskuraane pe jisne poochh liya tum udaas kyun ho!

Also read: 15 Ayushmann Khurana Shayaris That Are Absolutely Beautiful

9. Tumhari yaad ke jab zakham bharne lagte hain, kisi bahaane tumhe yaad karne lagte hain.

10. Raat yun dil min teri khoyi hui yaad aayi, jase viraane mein chupke se bahaar aayi.

11. Sone de agar woh so raha hai gulaami ki neend mein, ho sakta hai woh khwaab azaadi ke dekh raha ho.

12. Umar bhar uthaaya bojh us keel ne, aur log taareef us tasveer ki karte rahe. 

   

13. Elaichi ke daano sa mukaddar hai apna, mehek utni hi bikhri, peese gaye jitna.

14. Sukoon milta hai do lafz kaagaz par utaar kar, cheekh bhi leta hoon aur awaaz bhi nahi hoti.

Also read: 18 Beautiful Poems And Shayaris By Piyush Mishra That Are Heartwarming

15. Raat sar par hai aur safar baaki, humko chalna zara savere tha. 

16. Un chiraagon mein tel hi kam tha, kyun gila fir humein hawa se rahe. 

17. Haathon ki lakeeron pe mat jaa ae Ghalib, naseeb unke bhi hote hain jinke haath nahi hote. 

18. Dil na umeed to nahi nakaam hi toh hai, lambi hai gham ki shaam magar shaam hi toh hai. 

19. Dua toh dil se maangi jaati hai, Zubaan se nahi ae iqbal, qubool toh uski bhi hoti hai jiski zubaan nahi hoti. 

20. Mere lehze mein jee-huzoo na tha, isse zyaada mera kasoor na tha!

21. Woh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin, ussey ek khubsoorat mod de kar chhodna achchha. 

22. Kabhi dimaag, kabhi dil, kabhi nazar mein raho, ye sab tumhaare hi ghar hain, kisi bhi ghar mein raho. 

Also read: 20 Best Rahat Indori Shayaris For Some Laugh, Inspiration & Reflection

23. Har ishq ka ek waqt hota hai. Woh waqt humara nahi tha, par iska 

24. Seekh kar gaya woh mohabbat mujhse, ab jisse karega bemisaal karega!

25. Ishq ko maasoom rehne do notebook ke aakhri panne par. Aap use kitaabon mein daalkar mushkil na kijiye. 

Did you like our list of best shayaris? You can check the rest of our website for more such quotes!

You might also like
 
buy metronidazole online