15 Dialogues From Dil Dhadakne Do On Love, Life & Relationships

   

A comedy drama directed by Zoya Akhtar, Dil Dhadakne Do is movie that explores the differences, emotional turmoil and relationships within a family. The script, screenplay, characters and dialogues from Dil Dhadakne Do reflect upon the problems lurking in Indian families silently.

A movie studded with stars including Anil Kapoor, Priyanka Chopra, Ranvir Singh, Farhan Akhtar and Anushka Sharma, Dil Dhadakne Do is an emotional roller coaster as the Mehras and Friends go on a cruise across the amazing landscapes of Europe. Pluto, the family dog narrates the story of this colorful Punjabi family making constant observances of what we humans do with ourselves, our families and relationships.

We bring you some of the best dialogues of Dil Dhadakne Do you’ll love!

1. Khayal aata hain ke agar in logon ne apne aapko khud hi banaya hai, toh thoda behtar bana lete!

2. Agar koi alag tarah jeena chahta hai, toh usse jeene do Har dil apni hi tarah dhadakta hai, har dil dhadakne do…

3. Dil se faisla karo tumhe kya karna hai … dimaag tarkeeb nikaal lega…

4. Aisa kyun hai ki jab koi saath hai toh insaan usse kitni baatein kehna bhool jaata hai…
Aur aisa kyun hai ki jab koi door chala jaata hai toh insaan ko kitni baatein yaad aati hai joh keh deni chahiye thi… 

5. Duniya mein zabaanein toh bahut hai, Magar har Zabaan mein sirf paisa bolta hai.

6. Insan bhi ajeeb hote hain. Baat kehni kisi se hai magar kehte kisi aur se hai. Aur sabse zyada jo baat kehne se sharmate hain ya katrate hain, wo hai pyaar ki baat. 

7. Arey, ye to achchi baatein hain…Ab kon ye insano ko samjhaye ki agar dil mein kisi se mohabbat hai toh keh kyun nahi dete? Keh do!

   

8. Koi bhi ladka agar ladki se mile jule to khandan waalon ko koi problem nahi hai. Balki khush ho jaate hain ki ladka jawan ho gaya. Lekin ladki kisi ladke se miley, to khandan ki izzat mitti me mil jaati hai.

9. Ladkiyan ya to saare bandhan tod phod ke bhag jaye ya jo bhi kare chori chhipe kare…Apni marzi se jeena hai to aksar unke pas ye do choices hoti hai.

10. Chahiye ke nahi chahiye, Daddyji aur Mummy ji Gyaan toh dete hi rahenge.

11. Hamare desi Maa Baap kabhi maan nahi sakte ki unke bachcho mein utni akkal aa gayi hai ki apni marzi se jeeyein… Jab tak dum mein dum hai, ye log apne bachchon ki Zindagi mein kam se kam ek taang to adaye rehte hain.

12. Jaanwar bhi apne bacchon ko training dete hain. Sherni apne bacchon ko shikar sikhayegi. Kabootar hai toh udna. Par ek baar bacche bade ho gaye to unhe apni marzi se jeene ke liye chhod dete hain.

13. Insan andar se kuch aur hote hai aur bahar se kuch. Aur ye kaam jab doosre karte hai, toh insaan isse Hypocrisy kehte hain. Aur agar khud karta hai to Duniyadari.

14. Ajeeb baat ye hai ki insaano ko sabse zyaada bada khatra kisi aur se nahi, doosre insaano se hi hai…

15. Yeh reet khaas tor se hamare Mulk mein hai ki Shaadi ke baad beti parayi ho jaati hai. Beta kitni bhi shaadi kar le, Apna hi rehta hai…

Which of these dialogues from Dil Dhadakne Do did you like the best?

You might also like
 
buy metronidazole online