25 Inspirational Shayaris That’ll Motivate You When Times Are Tough!

   

Sometimes, life can be a tough nut to crack. During especially tricky times, a nudge in the right direction is all you need to course correct. Poets, at times like these, can be like listening to wise adults (without the judgement.) Here are 25 inspirational shayaris that’ll motivate you when times are tough.

   

Also read: 25 Best Shayaris You Should Be Reading Right About Now

1. Haathon ki lakeeron pe mat jaa ae Ghalib, naseeb unke bhi hote hain jinke haath nahi hote. 

2. Ummeed waqt ka sabse bada sahara hai. Gar hausla hai toh har mauz mein kinara hai. 

3. Yahan roti nahi ummeed sabko zinda rakhti hai, jo sadko par bhi sote hai sirhaane khwaab rakhte hain. 

4. Raat sar par hai aur safar baaki… humko chalna zara savere tha. 

5. Sone de agar woh so raha hai gulaami ki neend mein, ho sakta hai woh khwaab azaadi ke dekh raha ho. 

6. Dil na umeed toh nahi nakaam hi toh hai, lambi hai gham ki shaam magar shaam hi toh hai. 

7. Thoda sa rafoo karke dekhiye na, firse nayi si lagegi, zindagi hi toh hai.

8. Meri zameen tumse gehri rahi hai. Waqt aane do, asmaan bhi tumse uncha rahega. 

9. Dil aakhir tu kyun rota hai, duniya mein yunhi hota hai…

10. Bahot gurur hai dariya ko apne hone par, jo meri pyaas se uljhe toh dhajjiyan ud jaayein!

11. Kyun darein zindagi mein kya hoga? Kuch na hoga to tazurba hoga!

12. Kamyaabi tere liye humne khudko kuch yun taiyyar kar liya, maine har jazbaat bazaar mein ishtehaar kar liya. 

   

13. Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum…

14. Aankh mein paani rakho, hotho pe chingari rakho, zinda rehna hai toh tarkeebein bahot saari rakho. 

15. Aane wala pal jaane wala hai. Ho sake toh ismein, zindagi bita do, pal jo ye jaane wala hai. 

16. Manzil se aage badh kar, manzil talash kar. Mil jaaye tujhko dariya, samundar talaash kar. Har sheesha toot jaata hai pathhar ki chot se, pathhar hi toot jaaye, woh sheesha talaash kar.  

17. Un chiragon mein tel hi kam tha, kyon gila fir humein hawa se rahe. 

18. Kuch alag karna hai toh bheed se hatt ke chaliye. Bheed sahas toh deti hai, magar pehchaan chheen leti hai.

19. Khudi ko kar buland itna, ki har taqdeer se pehle khuda bande se khud poochhe teri raza kya hai. 

20. Kuch chhote sapno ke badle, badi neend ka sauda karne, nikal pade hain paanv abhaage, jaane kaun dagar thehrenge. 

21. Main zindagi ka saath nibhaata chala gaya, har fikr ko dhuyen mein udata chala gaya. Barbadiyon ka sog manana fizool tha, barbaadiyon ka jashn manaata chala gaya. 

22. Insaan khud ki nazar mein khush hona chahiye, duniya toh bhagwaan se bhi dukhi hai. 

23. Hazaar barq gire laakh aandhiyan uthein, woh phool khil ke rahenge jo khilne waale hain. 

24. Elaichi ke daano sa mukkadar hai apna, mehak utni hi bikhri, peese gaye jitna.

25. Kabhi jo khwaab tha woh paa liya hai, magar jo kho gayi woh cheez kya thi!

Did you like our compilation of inspirational shayaris? Check out the rest of our website for more such quotes!

You might also like
 
buy metronidazole online