20 Beautiful Zakir Khan Shayaris & Poems On Love, Life, Success & More

   

The ‘Sakht Launda’ of Indian stand up comedy, Zakir Khan has bowled us over and over again with his performances on the stage. Belonging to a modest family in a small town, Zakir Khan brings the flavor of small town love and life with a humorous touch on the stage like none other. Beyond stand-up comedy, Zakir Khan Shayaris and poems have also found a special place in the hearts of his fans and online audiences.

   

While Zakir Khan first came to prominence when we won the title of ‘India’s Best Stand Up’ in a comedy contest organized by Comedy Central, he is an equally talented Shayar as well. His shayaris and poems touch the emotion of love in the most relatable and innocent manner.

We bring you some of the best Zakir Khan Shayaris and poems about love, life, success and more.

1. Teri bewafaai ke Angaaron mein lipti rahi yun ruh meri.
Mein is tarah aag na hota, jo ho jaati tu meri.

2. Ab koi haq se hath pakadkar mehfil mein dobara nahi baithaata.
Sitaaron ke beech se suraj banne ke kuch apne hi nuksaan hua karte hai.

3. Ishq ko maasoom rehne do notebook ke aakhri panne par.
Aap use kitaabon mein daalkar mushkil na kijiye.

4. Har ek dastoor se bewafai, main shiddat se hai nibhai.
Raaste bhi khud hai dhundhe, aur manzil bhi khud banayi.

5. Hum dono me bas itna sa farq hai uske sab “lekin” mere naam se shuru hote hain, aur mere saare “kaash” uss par aa kar rukte hain.

6. Mein chah kar bhi, tum jaisa nahi ban paya. Dekho na…Tum toh aage badh gaye, par mein kahaan badh paaya.

7. Zindagi se kuch zyaada nahi, bas itni si farmaaish hai.
Ab tasveer se nahi tafseel se milne ki khwaaish hai.

8. Main Waqt aur tum Qayamat. Dekhna, jab hum milenge toh iss Kainaat mein sab kuch Ruk jayega

9. Ek arsey se hoon thamey, Kashti ko bhanwar mein. Toofaan se bhi jayada Sahil se siharta hoon

10. Bewajah bewafaaon ko yaad kiya hai, Galat logon pe bahut Waqt barbaad kiya hai

   

11. Ab woh aag nahi rahi, na Sholon jaisa dehekta hoon.
Rang bhi sab ke jaisa hai, sabsa hi to Mehekta hoon.
Ek arse se hoon thhame Kashti ko Bhavar mein,
Toofaan se bhi jyada Saahil se Siharta hoon.

12. Woh titli ki tarah aayi aur Zindagi ko baag kar gayi,
Mere jitne napak the iraade unhe bhi paak kar gayi.

13. Apne aap ke bhi peeche Khada hoon mein,
Zindagi kitna dheere chala hoon mein.

14. Har ek copy ek peeche kucch na kuch khaas likha hai,
Bas iss tarah tere mere Ishq ka Itihass likha hai.
Tu Duniya me chaahe jahan bhi rahe,
Apni Diary mein maine tujhe paas likha hai..

15. Kya apni chhoti Ungli se uska bhi Haath thaam liya karti ho tum,
Kya waise hai jaise Mera thhama karti thi?

16. Mere kuch sawaal hai jo sirf Qayamat ke roz puchunga tumse,
Kyuki uske pehle tumhari aur meri baat ho sake is laayak nahi ho tum.

17. Meri zameen tumse gehri rahi hai.
Waqt aane do, aasman bhi tumse uncha rahega.

18. Hazaron baar suney hue gaane ka lyrics agar achanak se acchha lagne lagjaaye, toh babu samajh jao ki emotional watt lagane hi wali hai.

19. Kamyaabi tere liye humne khud ko kuch yun taiyyar kar liya, Maine hr jazbaat baazar mein rakh kr ishtehaar kar liya

20. Bus ka intazar karte hue,
metro mein khade khade,
Chalte rikshaw mein baithe hue,
Gehre shunya mein kya dekhte rehte ho?
Gum chehra liye yeh kya sochte rehte ho?
Kya khoya kya paaya ka,

Hisab nahi laga paaye na iss baar bhi.
Ghar nahi ja paaye na iss baar bhi.

Zakir Khan Shayaris and poems are beautiful and heart warming. Did you know that Zakir Khan also has a diploma in ‘Sitar’. Our ‘Sakht Launda’ is a multi-talented guy indeed!

You might also like
 
buy metronidazole online