14 Best Poems by Manoj Muntashir About Love, Life, and Dreams

   

Born as Manoj Shukla in the small town of Gauriganj, Manoj Muntashir has written some of the best known lyrics of our time. Having written popular songs like Galliyan, Kaun Tujhe, Teri Mitti, and Phir Bhi Tumko Chahunga, Muntashir is also known for having written the script of Kaun Banega Crorepati. The lyrics and poems written by Muntashir speak to the brilliance of his work. Here are 14 best poems by Manoj Muntashir that we’re sure you’ll love.

   

Also read: 35 Beautiful Quotes, Poems & Shayaris From Gulzar Saab

1. When it comes to dreaming, the sky is the limit!

Joote phate pehenke akaash par chadhe the,

Sapne humare har dum aukaat se bade the,

Sar kaatne se pehle dushman ne sir jhukaaya

Jab dekha hum nihatthe maidan mein khade the.

2. At the end, we’re all destined to be one with the earth. 

Aaj aag hai kal hum pani ho jaayenge

Aakhir mein sab log kahaani ho jaayenge.

3. With some people, you don’t need backup plans.   

Kashtiyan humne jala di hain bharose par tere,

Ab yahan se nahi laut kar jaane waale.

 

4. Transcendental homelessness. 

Ye galat baat hai ki log yahan rehte hain,

Meri basti mein ab sirf makaan rehte hain,

Hum diwaano ka pata poochhna toh poochna yun

Jo kahin ke nahin rehte woh kahan rehte hain.

5. Some people you cannot run away from.

Seene ke uss kone mein bhi tu hai, jahan dil hota hai…

Itna zyaada koi kisi ke andar daakhil hota hai?

Bhaagta firta hoon main tujhse, roz subah se shaam talak…

Phir bhi meri saans-saans mein, tu hi shaamil hota hai.

6. Make time for people who matter.

Kal suraj sar pe pighlega toh yaad karoge,

Ki maa se ghana koi dakht nahi tha…

Iss pachhtaave ke saath kaise jiyoge,

Ki woh tumse baat karna chahti thi,

Aur tumhaare paas waqt nahin tha.

7. A day must be ushered out before the next one can be brought in.

Andheri raat nahin leti naam dhalne ka,

yahi toh waqt hai suraj tere nikalne ka.

8. Your memories are only yours.

Tu kisi ka bhi rahe, teri yaad meri hai.
Ameer hoon main ki ye jaaydaad meri hai.

   

9. Dignity is a trait not common to many.

Kabhi khuddari ki sarhad hi nahin laanghte hain,

bheekh toh chhodiye, hum haq bhi nahin maangte hain.

10. Your hard work will pay off at some point.

Maine lahu ke katre mitti mein boye hain,

Khushboo jahan bhi hai meri karzdaar hai,

Ae waqt hoga ek din tera mera hisaab

Meri jeet jaane kab se tujh pe udhaar hai.

11. Some thoughts leave you warm and nostalgic.

Hafte mein chaar raatein toh aisi nikalti hain

Jab yaadein mere saath chhaton par tehelti hain

Tum aaj bhi meri nahin ho kal bhi meri nahin thi

Afwaah hai ki kismatein ek din badalti hain

Dekhoon tumhein toh padti hai dil mein zara si thand

Aur phir mahinon tak meri aankhein jalti hain

Kab tak teri yaadon se main parhez karoonga

Ye aariya toh roz mere dil pe chalti hai.

12. It’s sad how the novelty of things eventually wear off. 

Lapak ke chalte the bilkul saraare jaise the

Naye-naye the toh hum bhi tumhare jaise the.

13. We live in a world where marketing is more important than the product. 

Jaisa bazaar ka takaaza hai,

waisa likhna abhi nahin seekha,

Muft bant ta hoon aaj bhi main toh

Maine bikna abhi nahin seekha

Ek chehra hai aaj bhi mera

Woh bhi kambakht itna ziddi hai

Jaise ummeed hai zamaane ko

Waisa dikhna abhi nahin seekha.

14. What makes a writer a great writer?

Achchha likhne ke liye ishq ho jaana zaroori hai

Bahut achchha likhne ke liye us ishq ka kho jaana zaroori hai.

Did you like our collection of the best poems by Manoj Muntashir? Comment below to let us know which one you liked best!

You might also like
 
buy metronidazole online