10 Beautiful Dialogues From Zindagi Na Milegi Dobara (ZNMD)

   

A movie that inspired people to step back from their chaotic jobs and work life and indulge in experiences outside their comfort zone, Zindagi Na Milegi Dobara was a refreshing story on the screen when it released in 2011. The exotic locations, awe-inspiring experiences, screenplay and dialogues from Zindagi Na Milegi struck chord with audiences all across.

   

We bring you the best dialogues from Zindagi Na Milegi Dobara (ZNMD)

Shayaris & Poems From Zindagi Na Milegi Dobara (ZNMD) 

1. Jab jab dard ka baadal chaaya, Jab gham ka saaya lehraya,
Jab aasoon palkon tak aaya, Jab yeh tanha dil ghabraaya,
Humne dil ko yeh samjhaaya,
Dil aakhir tu kyun rota hai…, Duniya mein yunhi hota hai…
Yeh joh gehre sannate hai, Waqt ne sabko hi baante hai…
Thoda gham hai sabka qissa, Thodi dhoop hai sabka hissa…
Aankh teri bekaar hi namm hai, Har pal ek naya mausam hai…
Kyun tu aise pal khota hai, Dil aakhir tu kyun rota hai.

2. Pighle neelam sa behta hua yeh samaan,
Neeli neeli si khamoshiyan, Na kahin hai zameen na kahin aasmaan…
Sarsaraati huyi tehniyan pattiyan keh rahi hai ki bas ek tum ho yahan…
Sirf main hoon meri saansein hai aur meri dhadkane, Aisi gehraiyan, Aisi tanhaiyan,
Aur main sirf main… Apne hone pe mujhko yakeen aa gaya

3. Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum,
Nazar mein khwabon ki bijliyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum…
Hawa ke jhokon ke jaise aazad rehna seekho, Tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho…
Har ek lamhe se tum milo khole apni baahen, Har ek pal ek naya samha dekhe yeh nigaahen…
Jo apni aankhon mein hairaaniyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum,
Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum.

4. Ik baat honthon tak hai joh aayi nahi, bas aankhon se hai jhaankti…
Tumse kabhi, mujhse kabhi kuch lafz hai woh maangti …
Jinko pehan ke honthon tak aa jaye woh,
Awaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh…
Lekin joh yeh ek baat hai, Ehsaas hi ehsaas hai …
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti, Khushboo jo be-awaaz hai…
Jiska pata tumko bhi hai, Jiski khabar mujhko bhi hai…
Duniya se bhi chupta nahi, Yeh jaane kaisa raaz hai.

Other Dialogues 

   

5. Insaan ko dibbe mein sirf tab hona chahiye… Jab woh mar chuka ho

6. Insaan ka kartavya hota hai koshish karna. Kaamyabi, nakaamyabi sab uske haath mein hai.

7. Kabhi pay cheque milte waqt … Tumhare aankhon mein aasun aaye hai?

8. Apne kaam ko apni life ke saath confuse mat karo. Tumhara kaam tumhari life nahi, sirf uska ek hissa hai.

9. Apne andar chhupe dar ko mitana chahte ho na? Toh ye raha hum sabka sabse bada darr – Maut. Let’s face it

10. Sieze the day my friend… Pehle is din ko poori tarah jiyo, Phir chalis ke bare mein sochna

Which of these dialogues from Zindagi Na Milegi Dobara (ZNMD) is your favorite?

You might also like
 
buy metronidazole online