35 Beautiful Quotes, Poems & Shayaris From Gulzar Saab

   

Bollywood wouldn’t have been the same without the beautiful words of Sampooran Singh Kalra or Gulzar Saab as you known him. Gulzar’s quotes, poems and Shayaris have been cherished by audiences for several decades now and has made him one of most popular and acclaimed writers of India. He is one of the very few artists in India to have won the prestigious Academy Awards when he won an Oscar for the song ‘Jai Ho’ from Slumdog Millionaire. He is a Padma Bhushan awardee, a Grammy Award winner, an Academy Award holder and the list of the recognition he has received goes on!

   

Gulzar’s lyrics have been making Bollywood movies and songs more meaningful and magical for almost six decades now. He has worked with several generations of film-makers, music directors and actors since his career started as a song writer in 1963.  He had penned down the lyrics of some of the most loved and evergreen Bollywood songs of movies while also being a dialogue writer par excellence.

In this article, we have collected some of his most popular and intense poetry lines, which will surely take your breath away!

We bring you the best quotes, poems and Shayaris from Gulzar Saab.

1. “Zulf mein phansi hui khol denge baaliyaan.
Kaan khinch jaaye agar, Kha lein meethi gaaliyan.”

2. “Tere jaane se toh kucch badla nahin.
Raat bhi aayi thi aur chand bhi tha.
Haan magar…neend nahin.” 

3. “Aane wala pal jane wala hai.
Ho sake toh isme, Zindagi bita do,
Pal jo yeh jaane wala hai.”

4. “Dil mein kuch jalta hai, Shayad dhuan dhuan sa lagta hai.
Aankh mein kuch Chubhta hai, Shayad sapna koi sulagta hai.”

5. “Aaina dekh kar Tasalli hui, Hamko is ghar mein jaanta hai koi.”

6. “Milta toh bahut kucch hai Iss Zindagi Mein. Bas hum Ginti usi ki karte hain, Jo haasil na ho saka.”

7. “Umr Kehti hai, Ab Sanjeeda hua jaaye, Dil Kehta hai, Kucch Nadaaniyaan aur sahi.”

8. “Aisi uljhi nazar unse hatt ti nahi,
Daant se reshmi dor katt ti nahi.
Umra kab ki baras ke safaid ho gayi;
Kaari badari jawani ki chattti nahi.”

9. “Shart lagi hai mar jaane ki
Jeena hai toh pyaar mein
Deh kahin bhi ho mera
Jaan rakhi hai yaar mein.”

10. “Jeene ke liye socha hi nahi. Dard sambhalne honge.
Muskuraaye toh muskuraane ke Karz utarne honge.”

11. “Taqleef khud hi kam ho gayi, Jab apno se umeed kam ho gayi.”

12. “Bahut andar tak jalaa deti hai, Woh shikaayatein jo bayaan nahi hoti.”

13. “Manzilein se Gumrah kar deta hain kucch Log.
Har kisi se Raasta poochna accha nahi hota.”

14. “Aaj ki raat yun thami si hai, Aaj phir aapki kami si hai.”

15. “Main uske roop ka shehdaai,
Vo dhoop chhanv se harjaai,
Vo shokh hai rang badalta hai,
Main rangroop ka saudaai.”

16. “Aansu jo rukne lage hain.
Aankhon mein chubhne lage hain
Naya dard do koi, toh ro lein.”

17. “Dil hain to phir dard hoga, Dard hai toh dil bhi hoga, Mausam guzarte rehte hain.”

18. “Waqt rehta nahi kahin tik kar, Aadat iss ki bhi aadmi si hain.”

   

19. “Mein har raat sari Khwahishon ko khud se pehle sula deta hun,
Magar roz subah yeh mujhse pehle jaag jaati hain.”

20. “Bahut mushkil se karta hoon, Teri Yaadon ka Karobaar. Munafa kam hai, Par Guzara ho hi jaata hai.”

21. “Naraaz humse khusiyaan hi hoti hai, Gamaon ke itne Nakhre nahi hote.”

22. “Lagta hai Zindagi Kucch Khafa Hai.
Chaliye Chhodiye, Kaunsi Pehli Dafa Hai.”

23. “Socha na tha zindagi aise.
Phir se milegi, jeene ke liye.
Aankhon ko pyaas lagegi,
Apne hi aansu peene ke liye.”

24. “Ae Zindagi, gale laga le.
Hum ne bhi tere har ik gham ko,
Gale se lagaya hai na.”

25. “Kaun kehta hai hum jhooth nahi bolte, Ek baar khairiyat toh pooch ke dekhiye.”

26. “Thoda sa rafoo karke dekhiye na, Fir se Nayi si lagegi. Zindagi hi toh hai.”

27. “Saath saath ghoomte hain Hum dono raat bhar… Log mujhe Aawara, Aur usey Chand kehte hain.”

28. “Kucch alag karna hai toh Bheed se hatt ke chaliye.
Bheed sahas toh deti hai, Magar Pehchan cheen leti hai.”

29. “Jhoothe tere waadon pe baras bitaaye.
Zindagi toh kaati, Ye raat kat jaaye.”

30. “Tere bina zindagi se koi Shiqwa toh nahi.
Tere bina zindagi bhi lekin, Zindagi toh nahi.”

31. “Kabhi toh chaunk ke dekhe koi hamari taraf,
Kisi ki aank mein humko bhi intezaar dikhe.”

32. “Humne akshar tumhari raahon mein ruk ruk kar apna hi intezaar kiya.”

33. “Maut, tu ek kavita hai, EK kavita ka waada hai, Ek din milegi mujhe.”

34. “Thoda hai thode ki zarurat hai, Zindagi phir bhi yahaan Khoobsurat hai.”

35. “Woh bulandi kis kaam ki janaab, Insaan chadey aur Insaniyat utar jaaye.”

A winner of 5 National Awards, 21 Filmfares, Sahitya Academy Award, Dada Saheb Phalke and Padma Bhusan besides the Oscars, Gulzar is one of the most honored artists of Bollywood. His work and Gulzar quotes continues to mesmerize audiences even today like six decades ago.

The beauty in his lines and the power in his imagination makes him India’s most sought-after lyricist and poet. His unmatched writing gets to the deepest ends of your heart and leaves your soul mesmerized. Such is the magic of Gulzar Saab’s writing!

The way Gulzar Saab manages to give life to people’s emotions and sentiments, nobody else can. The impact he has on people’s life through his writing is such, that they always want more of him. His lyrics, poems, nazms and Gulzar quotes are ingrained in people’s hearts and his biggest achievement is that his writing is ageless. He touches hearts like no other poet does. He has written some of the finest lines in Indian cinema and the world still wants more of him!

Is there any of the beautiful Gulzar quotes, poems, Shayaris or lyrics we missed out?  Do let us know in the comments below!

You might also like
 
buy metronidazole online