20 Poignant Shayaris About India To Keep You Rooted To Your History

   

The things prose cannot express, verse can whisper with a rhythm. A lot of times, it is better to speak in song, for some emotions are too big for the rules and conventions of the traditional prose. Much comes to mind when India is mentioned – our country, after all, is built on the backs of men and women who sacrificed their entire lives so we could breathe in an India that was free. And while a lot can be said to thank this country and her children, nothing would be quite enough. Here are 13 shayaris about India that’ll keep you rooted to your history.

Also read: 13 Quotes On Unity In Diversity That Define The Essence Of India

Let us now go back to our list of the best shayaris about India you’ll read on the internet:

1. Lahoo Vatan ke shahidon ka rang laaya hai
uchhal raha hai zamaane mein nam-e-azaadi

2. Bojh uthae hue phirti hai humara ab tak ae zameen
maan teri ye umr to araam ki thi.

3. Khuda ae kaash nazish jeete-ji woh waqt bhi laaye ki
jab hindustan kehlayega hindustan-e-aazadi

4. Hum apni jaan ke dushman ko jaan kehte hain,
Mohabbat ki isi mitti ko Hindustan kehte hain. – Rahat Indori

 

5. Phir dayar-e-hind ko aabar karne ke liye,
Jhoom kar uthho vatan azaad karne ke liye.

6. Watan ki khaak se marr kar bhi hum ko uns baaqi hai
Maza daman-e-madar ka hai iss mitti ke daman mein.

7. Watan ki khaak zara ediyan ragadne de,
mujhe yaqeen hai paani yahin se niklega. 

8. Ae khaak-e-vatan ab toh vafaon ka sila de
main tooti saanson ki fasilon pe khada hoon.

9. Hum bhi tere bete hain zara dekh humein bhi,
ai khaak-e-vatan tujh se shikayat nahi karte.

10. Naqus se gharaz hai na matlab azaan se hai,
mujh ko agar hai ishq toh hindostan se hai.

   

11. Jawano nazr de do apne khoon-e-dil ka har qatra,
likha jaayega hindostan ko farman-e-azaadi.

12. Sarfaroshi ki tamanna ab humare dil mein hai,
dekhna hai zor kitna bazu-d-katil mein hai.

13. Ae watan jab bhi sar-e-dasht kli phool khila
dekh kar tere shahidon ki nishani roya.

14. Kuch baat hai ki hasti mit-ti nahi hamari
Sadiyon raha hai dushman daur-e-zamaN hamara – Allama Iqbal

15. Mitti ki mohabbat mein hum aashufta-saron ne,
Woh karz utare hain ki wajib bhi nahin the… – Iftikhar Aarif

16. Kabe ko jata kis liye hindustan se mein,
kis but mein shahr-e-hind ke shan-e-khuda na thi… – Rind Lakhanvi

17. Dil se niklegi na mar kar bhi watan ki ulfat,
Meri mitti se bhi hhushbu-e-wafa aayegi… – Lal Chand Falak

18. Khun shahidan-e-watan ka rang la kar hi raha,
Aaj ye jannat-nishan hindostan aazad hai. – Ameen Saloni

19. Zameen-e-hind hai aur aasmaan-e-azaadi,
Yaqeen ban gaya ab toh gumaan-e-azaadi. – Siraj Lakhnavi

20. Ae Zameen ek roz teri khaak mein kho jayenge, so jayenge,
Mar ke bhi rishta nahi tutega Hindustan se, Imaan se. – Rahat Indori

 

Did you like these shayaris about India? Comment below to tell us your favourite one!

You might also like
 
buy metronidazole online